Motivational
Special Persons Ke Saath Scams: Jaago aur Aage Barho!
July 7, 2026 · 1 min read

Pakistan, India, aur subcontinent mein hamare special persons ko jhooti jobs ka jhaansa de kar unka brainwash kiya jaa raha hai. Humein mil kar iske khilaaf awareness phailani hai aur ek dusre ko educate karna hai.
Mere bhaiyo, aaj main ek bahut zaroori masle par baat kar raha hoon. Pakistan, India, aur poore subcontinent mein hamare 'special persons' ya jo log disable aur mazur hain, unke saath scams ho rahe hain.
In logon ko aisi jobs offer ki jaati hain jahan unse kaha jaata hai, 'Aap ko kuch karne ki bhi zaroorat nahi hai.' Yeh asal mein unko brainwash karne ka ek tareeka hai taake unka faida uthaya jaa sake.
Is cheez ke baare mein awareness nahi hai, isliye mera mission hai ke main apne special persons ko educate karoon. Humein un tak yeh paighaam pohanchana hai ke woh aise dhokon se bachein.
Ham sab ko milke aage badhna hai. Chaliye, hum sab special persons mil kar ek dusre ko support karein aur in scams ke khilaaf awaaz uthayein.
